Hum Sans Le Rahe Hai Is Jaan Ki Badolat (हम सांस ले रहे है, इस जान की बदौलत: भजन)


Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat,
Aur Jaan Jism Mein Hai,
Shree Ram Ki Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥
Shree Ram Naam Jap Ke,
Lanka Se Jit Aaye,
Hanuman Siddhi Pa Gaye,
Hari Naam Ki Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥

Kuchh Punya Ho Raha Hai Jo,
Suraj Nikal Raha Hai,
Dharati Thami Hai Sadiyon Se,
Insaan Ki Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥

‘Phani’ Garv Ho Raha Hai,
Vigyaan Ki Badaulat,
Vigyaan Ka Vajud Hai,
Bhagavan Ki Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥

Mere Liye Atithi,
Bhagavan Ke Barabar,
Sar Karate Hai Nyauchhavar,
Mehaman Ke Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥

Lab Pe Hansi Nahin To,
Jina Bhi Hai Kya Jina,
Pahachan Hai Jahaan Mein,
Muskaan Ki Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥

Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat,
Aur Jaan Jism Mein Hai,
Shree Ram Ki Badaulat,
Hum Saans Le Rahe Hai,
Is Jaan Ki Badaulat ॥
हम सांस ले रहे है, इस जान की बदौलत: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हम सांस ले रहे है, इस जान की बदौलत, और जान जिस्म में है, श्री राम की बदौलत हम सांस ले रहे हैं, इस जान की बदौलत ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Baithi Pahadon Mein Maa Sharda Teri Mahima Ka Kya Kahna

Maiya Tumse Meri, Choti Si Hai Arji, Mano Ya Na Mano, Aage Teri Marji, Mavadi Rakhle Tu, Charon Ke Paas ॥

Maiya Tumse Meri Choti Si Hai Arji

Maiya Tumse Meri, Choti Si Hai Arji, Mano Ya Na Mano, Aage Teri Marji, Mavadi Rakhle Tu, Charon Ke Paas ॥

Meri Naiya Paar Lagegi Maa Khadi Hai Tu Us Paar

Meri Naiya Paar Lagegi, Maa Khadi Hai Tu Us Paar, Na Koi Majhi Saath Mein, Na Haathon Patavar ॥

Aaungi Aaungi Main Agle Baras Phir Aaungi

Aaungi Aaungi Main Agle, Baras Phir Aaungi, Laungi Laungi Teri, Laal Chunariya Laungi ॥

Naam Tera Durge Maiya Ho Gaya

Ambe Bhawani ,,, Ho O, Ambe Bhawani Tera Dhyan Sabhi Hai Dharte, Naam Tera Durga Maiya Ho Gaya,
Durgunon Ka Naas Karte Karte ॥