Hota Hai Sare Vishwa Ka Kalyan Yajya Se (होता है सारे विश्व का, कल्याण यज्ञ से - भजन)


Hota Hai Sare Vishwa Ka, Kalyan Yajna Se ।
Jaldi Prasann Hote Hain, Bhagwan Yajna Se ॥
Rshiyon Ne Uncha Mana Hai, Sthan Yajna Ka ।
Bhagwan Ka Yah Yajna Hai, Bhagwan Yajna Ka ।
Jata Hai Devlok Mein, Insan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Jo Kuchh Bhi Dalo Yajna Mein, Khate Hain Agnidev ।
Ek-ek Ke Badle Sau-sau, Dilate Hain Agnidev ।
Paida Anaj Karte Hain, Bhagwan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Hota Hai Kanyadan Bhi, Iske Hi Samne ।
Pooja Hai Isko Krishn Ne, Bhagwan Ram Ne ।
Milti Hai Rajkeerti Va Santan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Iska Pujari Koi, Parajit Nahin Hota ।
Iske Pujari Ko Koi Bhi, Bhay Nahin Hota ।
Hoti Hai Sari Mushkilen, Aasan Yajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

Chahe Ameer Ho Koi, Chaahe Garib Hai ।
Jo Nity Yajna Karta Hai, Wah Khush Naseeb Hai ।
Upkari Manuj Banta Hai, Devyajna Se ॥
॥ Hota Hai Sare Vishwa Ka… ॥

॥ Muktak ॥
Yajna Pita Hain Sur-sanskrti Ke, Yajna Srshtii Ke Nirmata Hain ।
Isilie Har Sanskar Mein, Aavashyak Samjha Jata Hai ॥
Devshaktiyan Yagydev, Dwara Hi to Prasann Hoti Hain ।
Jeevan, Pran, Dhaany, Samrddhi, Yash, Vaibhav ‘Hota’ Pata Hai ॥
होता है सारे विश्व का, कल्याण यज्ञ से - भजन - हिन्दी में पढ़ें
होता है सारे विश्व का, कल्याण यज्ञ से। जल्दी प्रसन्न होते हैं, भगवान् यज्ञ से..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanYagya BhajanYagya Vandana Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye

Maiya Ji Ke Charnon Me Thikana Chahie । Beta Jo Bulaye Man Ko Aana Chahiye ॥

Main To Jhoom Jhoom Nachu Re Aaj Maiya Ghar Aayi Hai

Main to Jhoom Jhoom Naachu Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Mata Ke Gun Gaoon Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Jhoom Jhoom Naachun Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai ॥

Aaj More Angna Padharo

Aao Maa Bhawani Aao, Aaj More Angna Padharo, Angna Padharo Mere, Angna Padharo, Aaj More Angna Padharo, Aaj Mere Angna Padharo ॥

Sabki Bharti Hai Maa Yahan Par Jholiya

Sabki Bharti Hai Maa, Yan Par Jholiyan, Sabki Bharti Hai Maa, Yan Par Jholiyan, Sabki Bharti Hai Maa,
Yan Par Jholiyan ॥