Ho Jo Najre Karam Aapki,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ek Najar Daas Par Ho Kabhi,
Ek Najar Daas Par Ho Kabhi,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ho Jo Najren Karam Aapki ॥
Koi Data Hai Tujhsa Nahin,
Din Mujhsa Hai Koi Nahin,
Ab to Tere Siva Is Jahaan Mein,
Hai Kisi Par Bharosa Nahi,
Tere Hathon Mein Hai Zindagi,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ho Jo Najren Karam Aapki ॥
Chaahe Kitna Bhi Karke Jatan,
Koi Bhi Sath Jaata Nahin,
Maut Jab Saamne Hogi Tere,
Koi Bhi Rok Paata Nahin,
Gar Ho Sachchi Teri Bandgi,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ho Jo Najren Karam Aapki ॥
Kal Pe Baton Na Chhodo ‘Phani’,
Kal Pe Kuchh Jor Chalta Nahin,
Waqt Se Pehle Kismat Se Jyada,
Mangne Pe Bhi Milta Nahin,
Hai Ye Jeevan Bada Keemti,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ho Jo Najren Karam Aapki ॥
Ho Jo Najre Karam Aapki,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ek Najar Daas Par Ho Kabhi,
Ek Najar Daas Par Ho Kabhi,
Phir Nahin Dar Hai Sansar Ki,
Ho Jo Najren Karam Aapki ॥