Hey Mahashakti Hey Maa Ambey Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai (हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है: भजन)


Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥
Saari Duniya Ek Bagiya Hai,
Hum Sab Bagiya Ke Phul Yahan,
Is Bagiya Ki Maan Hai Maali,
Har Phul Hi Maan Ko Pyara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Koi Kasht Nahin Usko Aata,
Jo Maan Ka Sumiran Karta Hai,
Saya Bankar Us Prani Ko,
Maan Deti Sada Sahara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Apne Bhakto Se Daati Kabhi,
Palbhar Bhi Door Nahin Hoti,
Daudi Daudi Aati Hai Maan,
Jisne Bhi Man Se Pukara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Apne Jeevan Ki Dori Ko,
Ab Saump Do ‘Sharma’ Daati Ko,
Na Jaane Kitno Ko Maan Ne,
Bhavsagar Paar Utara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Sheesh Gang Ardhang Parvati

Sheesh Gang Ardhang Parvati, Sada Virajat Kailasi । Nandi Bhrngi Nrty Karat Hain, Dharat Dhyan Sur Sukhrasi ॥

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja, Uska Hi Uddhar Hua । Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein, Uska Beda Paar Hua

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...