Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan ।
Sun Lo Meri Pukar,
Pawansut Vinti Baarambaar ॥
Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data,
Dukhiyon Ke Tum Bhagya Vidhata ।
Siya-Ram Ke Kaj Sawanre,
Mera Kar Uddhar ॥
Pawansut Vinti Barambar ।
॥ Hey Dukh Bhanjan...॥
Aprampar Hai Shakti Tumhari,
Tum Par Reejhe Awadh Bihari ।
Bhakti Bhav Se Dhyaoo Tohe,
Kar Dukhho Se Par ॥
Pawansut Vinti Baarambaar ।
॥ Hey Dukh Bhanjan...॥
Japun Nirantar Naam Tihara,
Ab Nahi Chaudun Tera Dwara ।
Ram Bhakt Mohe Sharan Me Lije,
Bhav Sagar Se Taar ॥
Pawansut Vinti Baarambaar ।
Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan ।
Sun Lo Meri Pukar,
Pawansut Vinti Baarambaar ॥
◉ The recitation of
Hanuman Chalisa,
Bajrang Baan and
Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.