Hey Bholenath Teri Mahima Nirali (हे भोले नाथ तेरी महिमा निराली - भजन)


Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali,
Jaane Vo Jis Ne Teri Lagan Lagali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।
Teri Sharan Mein Jo Bhi Aaya,
Usko Mili Teri Karuna Ki Chhaya,
Bin Mange Vo Sab Kuchh Pa Le,
Jisne Tera Dhyan Lagaya,
Tera Vachan Kabhi Jaaye Na Khali,
Tera Vachan Kabhi Jaaye Na Khali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।

Sankat Mochan He Jag Daata,
Tu Hai Sabhi Ka Bhagyavidhata,
Ye Shrishti Parivar Hai Tera
Jan Jan Se Hai Tera Nata,
Jag Bagiya Hai Tu Hai Mali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।

Shambhu Tere Khel Nirale,
Tera Likha Na Koi Tale,
Bhaktjano Ko Amrit Bante,
Aur Khud Pita Vish Ke Pyale,
Teri Chhavi Mainne Man Mein Vasa Li,
Teri Chhavi Mainne Man Mein Vasa Li,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।

Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali,
Jane Vo Jis Ne Teri Lagan Lagali,
Hey Bhole Nath Teri Mahima Nirali ।
हे भोले नाथ तेरी महिमा निराली - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे भोले नाथ तेरी महिमा निराली, जाने वो जिस ने तेरी लगन लगाली..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanUdit Narayan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Hey Muralidhar Chhaliya Mohan

Hey Murlidhar Chhaliya Mohan, Hum Bhi Tumko Dil De Baithe, Gam Pahle Se Hi Kam to Na the

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Mere Bhole Ki Barat Mein Dhol Nagade Vaaje

Mere Bhole Ki Barat Mein, Dhol Nagaade Baaje, Bhaang Dhatoora Peekar Bhole, Chale Hain Byaah Rachaane, Mere Bhole Ki Barat Mein ॥

Hai Ram Ka Agyakari Hai Shankar Ka Avtari

Hay Ram Ka Aagyakari, Hay Shankar Ka Avatari, Mhare Sir Pe Haath Phirao, Main Sharan Padya Haan Thari, Mhane Pal Pal Pal Pal, Thari Yaad Sataave Hai, Hey Veer Bali Mhane, Thari Olyu Aave Hai ॥

Ram Ke Rang Mein Ranga Hua Hai Anjani Sut Bajrangbala

Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai, Anjanisut Bajrang Bala, Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala, Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥