Har Gyaras Khatu Me Amrit Jo Barasta Hai (हर ग्यारस खाटू में अमृत जो बरसता है - भजन)


Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥
Yahan Bhajnon Ki Ganga,
Amrit Si Bahati Hai,
Sabke Dil Ki Baatein,
Baba Se Kahati Hai,
In Boondon Ko Peekar,
Har Bhakt Thirakta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Bhajanon Ki Ye Bunde,
Jab Kaan Mein Pad Jaye,
Har Premi Baba Ka,
Mere Shyam Se Jud Jaye,
Phir Hosh Rahe Na Use,
Hansta Hai Sisakta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Ye Bhajanon Ki Ganga,
Hamen Shyam Se Milvaye,
Yahaan Dubki Lagane Ko,
Mera Shyam Chala Aaye,
Amrit Ye Bhajanon Ka,
Jab Jab Bhi Chhalkta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Is Amrt Mein Pyaare,
Tum Jahar Nahin Gholo,
Kahata ‘romi’ Tolo,
Tum Tol Ke Phir Bolo,
Isse Pavan Rahane Do,
Vishwas Bhatkta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai,
Us Amrit Ko Peene,
Har Bhakt Pahunchta Hai,
Har Gyaras Khatu Me,
Amrit Jo Barasta Hai ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
हर ग्यारस खाटू में अमृत जो बरसता है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हर ग्यारस खाटू में, अमृत जो बरसता है, उस अमृत को पीने, हर भक्त पहुँचता है, हर ग्यारस खाटु में, अमृत जो बरसता है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hey Suryaputra Hume Rakhna Karuna Ki Chaav Mein

Hey Suryaputra Hume, Rakhna Karuna Ki Chaav Mein, Kanta Bhi Na Chubhane Dena Kabhi,
Kasto Ka Hamare Paanvo Mein, Hey Suryaputra Hume, Rakhna Karuna Ki Chaav Mein ॥

Jai Jai Hey Shani Raj Dev

Jai Jai Hey Shani Raj Dev Teri Jai Jai Kar, Tu Hi Meri Sukh Shanti Hai Tu Hi Mera Aadhar, Jai Jai Hey Shani Raj Dev Teri Jai Jai Kar, Tu Hi Meri Sukh Shanti Hai Tu Hi Mera Aadhar ॥

Kripa Karo Hey Shanidev

Kripa Karo Hey Shani dev, Kripa Karo Hey Shani dev, Majhadhar Mein Hai Naiyya, Majhadhar Mein Hai Naiyya Prabhu Paar Karo ॥

Prem Sada Bharpur Rahe Shani Dev Ke Charno Mein

Prem Sada Bharpur Rahe Shani Dev Ke Charano Mein, Kare Arji Meri Manjur Mere Shani Dev Ke Charano Mein, Prem Sada Bharpur Rahe Shani Dev Ke Charno Mein ॥