Ganpati Ke Charno Mein Dhyan Laga Le Re (गणपति के चरणो में, ध्यान लगा ले रे: भजन)


Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re,
Riddhi Aur Siddhi,
Tumhai Sab Mil Jaye Re,
Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re ॥
Pratham Pujya Tum Ho Deva,
Karun Nitya Teri Sewa,
Modak Bhog Lagana Hai,
Bappa Tumhai Manana hai,
Nache Aur Jhume,
Aur Tumhai Manaye Re,
Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re ॥

Utsav Tera Manana Hai,
Apne Ghar Mein Lana Hai,
Phoolo Aur Kaliyon Se,
Mandir Tera Sajana Hai,
Dholak Aur Chhena,
Mrudang Bajaye Re,
Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re ॥

Gaura Maa Ke Pyare Hai,
Shiv Ke Raj Dulare Hai,
Is Kalyug Mein Bhakton Ke,
Yahi Sachhe Sahare Hai,
Bhav Mein Hai Naiya,
Yahi Paar Lagaye Re,
Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re ॥

Inki Sharan Mein Aaoge,
Sukh Samrudhi Paaoge,
Bhav Sagar Se Tarna Hai,
Inka Darsan Karna Hai,
Jindegi Mein Tere,
Khusiyan Bhar Jaye Re,
Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re ॥

Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re,
Riddhi Aur Siddhi,
Tumhai Sab Mil Jaye Re,
Ganpati Ke Charno Mein,
Dhyan Laga Le Re ॥
गणपति के चरणो में, ध्यान लगा ले रे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
इनकी शरण में आओगे, सुख सम्रद्धि पाओगे, भव सागर से तरना है, इनका दर्शन करना है, ज़िन्दगी में तेरे, खुशियाँ भर जाए रे, गणपति के चरणो में, ध्यान लगा ले रे ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Maa Rewa: Tharo Pani Nirmal

Ma Rewa Tharo Paani Nirmal, Khal Khal Behto Jaye Re..

Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain

Maa Sharde Kahan Tu, Veena Baja Rahi Hain, Kis Manju Gyan Se Tu

Bhajan Maa Sharade Vandana

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa, Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Saraswati Amritwani

Suramay Veena Dharini, Saraswati Kala Nidhaan, Paavan Aasheesh Se Karade, Jan Jan Ka Kalyaan ।..