Fagun Ki Rut Phir Se Aayi,
Khatu Nagri Chalo,
Shyam Nishan Uthalo,
Shyam Kund Ke Pawan Jal Mein,
Chalke Dubki Lagalo,
Shyam Nishani Uthalo ॥
Ganw-Ganw Aur Shahar-Shahar Se,
Teri Premi Jate,
Lakhon-Lakhon Rang-Birange,
Shyam Dhwaja Laharate,
Shyam Ka Jayakara Karate,
Karte Khatu Ko Chalo,
Shyam Nishani Uthalo ॥
Shyam Haweli Tak Ringas Se,
Lambi Lagi Kataren,
Fagun Mela Aaya Bhakton,
Baba Hame Pukare,
Laddoo-Mewe Aur Itr Ka,
Bhog Shyam Ko Chadhalo,
Shyam Nishani Uthalo ॥
Ye Mauka Badabhagi Uthave,
Khatu Nagari Jave,
Sanwariya Ka Darshan Karke,
Maala-Khajana Pawe,
Abhi Bhi Samay Hai Tikat Kara Lo,
Bhaagy ‘Kunaal’ Jagalo ॥
Fagun Ki Rut Phir Se Aayi,
Khatu Nagri Chalo,
Shyam Nishan Uthalo,
Shyam Kund Ke Pawan Jal Mein,
Chalke Dubki Lagalo,
Shyam Nishani Uthalo ॥