Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye,
Le Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥
Rimjhim Rimjhim Sawan Barse,
Aayi Rut Matwali,
Jai Maan Jai Maan Koyal Bole,
Baith Aam Ki Daali,
Unche Parvat Bhawan Sunhara,
Chhai Hai Hariyali,
Pindi Roop Viraje Maiya,
Bhakto Ki Pratipali,
Le Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥
Bhakto Ke Chal Pade Hai Tole,
Laal Dhwaja Phaharate,
Jhaanjh Manjeera Dholak Le,
Gungaan Maiya Ke Gaate,
Paon Mein Pad Gaye Hai Chhaale,
Phir Bhi Chalte Jaate,
Laakh Musibat Aaye,
Maan Ke Bhakt Nahin Ghabraate,
Ho Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥
Chhod Moh Duniya Ka ‘Lakhkha’,
Ban Ja Maan Ka Chakar,
Karle Apni Saphal Zindagi,
Maan Ki Sharan Mein Aakar,
Sach Hai Kitne Paapi Tar Gaye,
Maan Ki Mahima Gakar,
Phir Bol ‘Saral’ Tu Jai Mata Ki,
Donon Hath Uthakar,
Ho Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye,
Le Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजन* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!