Duniya Ye Chalawa Hai Kahin Tum Bhi Na Chal Jana (दुनिया ये छलावा है कही तुम भी ना छल जाना - भजन)


Duniya Ye Chalawa Hai,
Kahi Tum Bhi Na Chhal Jana,
Badle Duniya Lekin,
Tum Bhi Na Badal Jana ॥
Tumse Ye Jeevan Hai,
Aadhar Ho Tum Mera,
Sach Sach Boloon Ji Main,
Sansar Ho Tum Mera,
Mujh Nirbal Ne Baba,
Tumko Hi to Bal Mana,
Badle Duniya Lekin,
Tum Bhi Na Badal Jana ॥

Gar Tum Jo Badle to,
Putla Ye Tutega,
Is Jeevan Ka Sooraj,
Ek Pal Mein Dubega,
Is Prem Ke Bandhan Ko,
Mat Tod Nikal Jana,
Badle Duniya Lekin,
Tum Bhi Na Badal Jana ॥

Tum Sath Jo Mere Ho,
Jag Ki Parwah Nahin,
Duhkh Mein Na Bahe Aansu,
Sukh Ki Koi Chaah Nahin,
Teri Seva Mein Beete,
Us Pal Ko Hi Pal Mana,
Badle Duniya Lekin,
Tum Bhi Na Badal Jana ॥

Duniya Ye Chalawa Hai,
Kahi Tum Bhi Na Chhal Jana,
Badle Duniya Lekin,
Tum Bhi Na Badal Jana ॥
दुनिया ये छलावा है कही तुम भी ना छल जाना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दुनिया ये छलावा है, कही तुम भी ना छल जाना, बदले दुनिया लेकिन, तुम भी ना बदल जाना ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanBanke Bihari BhajanShyam BhajanShri Khatu Shyam Ji BhajanMurari BhajanMohan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhaye Pragat Kripala Din Dayala

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Meri Jhopdi Ke Bhag Aaj Khul Jayenge

Meri Jhopdi Ke Bhag, Aaj Khul Jayenge, Shyam Ayenge

Jab Te Ram Bhayai Ghar Aaye

Jab Ten Ramu Byahi Ghar Aaye । Nit Nav Mangal Mod Badhaye ॥ To drive away poverty from home and to bring happiness, prosperity, peace, listen to these chaupaiyan of mangalacharan of Ayodhya Kand everyday..

Sajado Ghar Ko Gulshan Sa

Saja Do Ghar Ko Gulshan Sa, Awadh Me Ram Aayen Hain | Mere Sarkar Aaye Hain..

Nagri Ho Ayodhya Si, Raghukul Sa Gharana Ho

Nagri Ho Ayodhya Si, Raghukul Sa Gharana Ho । Aur Charan Ho Raghav Ke