Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain,
Aur Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ।
Ho Jate Hai Jiske Apne Paraye,
Hanuman Usko Kanth Lagaye ।
Jab Rooth Jaye Sansar Sara,
Bajrangbali Tab Dete Sahara ।
Apne Bhakto Ka Bajrangi Maan Karte Hai,
Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥
॥ Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain… ॥
Duniyan Mein Kaam Koi Aisa Nahin Hai,
Hanuman Ke Jo Bas Mein Nahin Hai ।
Jo Cheej Mango, Pal Mein Milegi,
Jholi Ye Khali Khushiyon Se Bharegi ।
Sachche Man Se Jo Bhi Inka Dhyan Karte Hain,
Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥
॥ Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain… ॥
Kat Jaye Sankat Inki Sharan Mein,
Baith Ke Dekho Bajrang Ke Charan Mein ।
Lakhkha Ki Baton Ko Jhooth Mat Mano,
Phir Na Phansoge Jeevan Maran Mein ।
Aur Devta Chitt Na Dharhi,
Hanumant Se Sarv Sukh Karahi ।
Inke Seene Mein Hardam Siya Ram Rehte Hai,
Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ॥
Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain,
Aur Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ।
Sankat Kate Mite Sab Peera,
Jo Sumirai Hanumat Bal Beera ।
हनुमान चालीसा |
श्री हनुमान आरती |
संकटमोचन अष्टक |
बालाजी आरती |
श्री राम स्तुति