Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai ।
Diye Se Diye Ko Jalana Padega ॥
Ghana Ho Gaya Ab Gharon Mein Andhera ।
Badha Ja Raha Mandiron Mein Andhera ॥
Nahin Hath Ko Hath Ab Soojh Paata ।
Hamen Panth Ko Jagmagana, Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥
Karen Kuch Jatan Swach Dikhen Dishayen ।
Bhramit Phir Kisi Ko Karen Na Nishayen ॥
Andhera Nirakunsh Hua Ja Raha Hai ।
Hamen Dambh Uska Mitana Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥
Visham Vishdharon Si Badhi Roodhiyan Hain.
Jakad Ab Gayin Manavi Peedhiyan Hain ॥
Khumari Bahut Chha Rahi Hai Nayan Mein.
Naye Rakt Ko Ab Jagana Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥
Pragati Rokti Khokhli Manyatayen ।
Jatil Andhvishwas Ki Dushprathayen ॥
Yahi Vighn । Kante Hamen Chhal Chuke Hain ।
Hamen in Sabon Ko Hatana Padega ॥
॥ Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai… ॥
Hamen Lobh Hai Is Kadar Aaj Ghere ।
Vivahon Mein Ham Ban Gaye Hain Lutere ॥
Pralobhan Yahan Ab Bahut Badh Gaye Hain ।
Hamen Unmen Ankush Lagana Padega ॥
Dhara Par Andhera Bahut Chha Raha Hai ।
Diye Se Diye Ko Jalana Padega ॥
॥ Muktak ॥
Lakshy Pane Ke Liye,
Sabko Satat Jalana Padega ।
Metne Ghan Timir Ravi Ki,
God Mein Palna Padega ॥
Raah Mein Toophan Aaye,
Bijliyan Hamko Darayen ।
Deep Bankar Vikat,
Jhanjhavat Mein Jalna Padega ॥