Dhan Dhan Bholenath Bant Diye,
Teen Lok Ik Pal Bhar Mein ।
Aise Deendayal Mere Data,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein ॥
Pratham Ved Brahma Ko De Diya,
Bana Ved Ka Adhikari ।
Vishnu Ko Diye Chakr Sudarshan,
Lakshmi Si Sundar Nari ।
Indr Ko De Diye Kaam Dhenu,
Aur Airavat Sa Balkari ।
Kuber Ko Sari Vasudha Ka,
Kar Diya Tumne Bhandari ।
Apne Paas Patr Nahin Rakkha,
Rakkha to Khappar Kar Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥
Amrit to Devtaon Ko De Diye,
Aap Halahal Paan Kare ।
Brahm Gyan De Diya Usi Ko,
Jisne Aapka Dhyan Dhare ।
Bhagirath Ko Ganga De Dai,
Sab Jag Ne Asnan Kare ।
Bade Bade Papiyon Ko Tare,
Pal Bhar Mein Kalyan Kare ।
Apne Tan Par Vastra Na Rakkha,
Magan Rahe Baghambar Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥
.Lanka Gadh Ravan Ko De Diye,
Bis Bhuja Das Seesh Diye ।
Ramchandrji Ko Dhanush Baan,
Aur Hanuman Ko Gada Diye ।
Manmohan Ko Murli De Dai,
Mor Mukut Baksheesh Kiye ।
Mukti Hetu Kashi Mein Vaas,
Bhakton Ko Biswabish Kiye ।
Aap Nashe Mein Rahe Choor Bhola,
Bhang Piye Nit Khappar Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥
Narad Ji Ko Veena De Dai,
Gandharvon Ko Raag Diye ।
Brahman Ko Diya Karm Kand,
Aur Sanyasi Ko Tyag Diye ।
Jisne Aapka Dhyan Lagaya,
Usko to Anurag Diye ।
Devi Sing Kahe Banarasi Ko,
Sabse Uttam Bhaag Diye ।
Jisne Dhyaya Usi Ne Paaya,
Mahadev Tumhare Var Mein ॥
॥ Dhan Dhan Bholenath Bant Diye… ॥
Dhan Dhan Bholenath Bant Diye,
Teen Lok Ik Pal Bhar Mein ।
Aise Deendayal Mere Data,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein ॥