Dev Hai Ye Bhole Bhakto Ka,
Khud Bhi Bhola Bhala,
Mera Damru Bala,
Mera Damru Bala,
Shamashanon Mein Bhuto Ke Sang,
Isne Dera Dala,
Mera Damru Vala,
Mera Damru Vala ॥
Sagar Ka Hua Ab Manthan,
Tab Dev Asur Sab Aaye,
Sabko Tha Amrut Pina,
Koi Bis Na Pina Chahe,
Chod Ke Amrut Shiv Sankar Ne,
Saara Bis Pi Dala,
Mera Damru Vala,
Mera Damru Vala ॥
Patkar Ke Bhagirath Ne,
Ganga Dharti Pe Utari,
Koi Rok Na Paya Usko,
Dhara Main Veg Tha Bhari,
Band Ke Apni Jata Main Usko,
Anhoni Ko Tala,
Mera Damru Vala,
Mera Damru Vala ॥
Sawan Ke Mahine Main jab,
Kavadiyon Ki Nikale Toli,
Har Gali Gali Main Gunje,
Iske Hi Naam Ki Boli,
Koi Bam Bam Bol Pukare,
Koi Kahe Bam Bhole,
Mera Damru Vala,
Mera Damru Vala ॥
Meva Mishthano Ke Ho,
Ya Thaal Bhare Ho Phal Ke,
Bhole To Khush Hote Hai,
Lutiya Bhar Ganga Jaal Se,
Bel Patr Aur Aak Dhatura,
Aur Bhangiya Pine Wala,
Mera Damru Vala,
Mera Damru Vala ॥
Dev Hai Ye Bhole Bhakto Ka,
Khud Bhi Bhola Bhala,
Mera Damru Bala,
Mera Damru Bala,
Shamashanon Mein Bhuto Ke Sang,
Isne Dera Dala,
Mera Damru Vala,
Mera Damru Vala ॥