De Prabho Vardan Aisa,
De Vibho Vardan Aisa ।
Bhool Jaoon Bhed Sab,
Apna Paraya Maan Taisa ॥
Mukt Hoon Bandhanon Se,
Moh Maya Pash Tute ।
Swarth, Irsha, Dwesh, Aadik,
Durgunon Ka Sang Chhoote ॥
Prem Manas Mein Bhara Ho,
Ho Hriday Mein Shanti Chhayi ।
Dekhta Hoon Jidhar Main,
De Udhar Tu Hi Dikhayi ॥
Nasht Ho Sab Bhinnata, Phir,
Bair Aur Virodh Kaisa ।
Bhool Jaoon Bhed Sab,
Apna Paraya Maan Taisa ॥
De Prabho Vardan Aisa,
De Vibho ! Vardan Aisa ॥
Gyan Ke Aalok Se,
Ujjwal Bane Yah Chitt Mera ।
Lupt Ho Agyan Ka,
Avichar Ka Chhaya Andhera ॥
Hey Prabho Parmarth Ke Shubh-
Kaary Mein Ruchi Nity Meri ।
Deen Dukhiyon Ki Kuti Mein,
Hi Mile Anubhuti Teri ॥
Dusron Ke Duhkh Ko,
Samjhoon Sada Main Aap Jaisa ।
Bhool Jaoon Bhed Sab,
Apna Paraya Maan Taisa ॥
De Prabho Vardan Aisa,
De Vibho ! Vardan Aisa ॥
Hey Abhay Avivek Taj Shuchi,
Satya Path Gami Banoon Main ।
Aapdaon Se Bhala Kya,
Kaal Se Bhi Na Daroon Main ॥
Saty Ko Hi Dharm Manoon,
Saty Ko Hi Sadhna Main ।
Saty Ke Hi Roop Mein,
Teri Karoon Aaradhana Main ॥
Bhool Jaoon Bhed Sab,
Apna Paraya Maan Taisa ॥
De Prabho Vardan Aisa,
De Vibho ! Vardan Aisa ॥