Dani Bada Ye Bholenath,
Poori Kare Man Ki Murad,
Dekh Le Mang Ke Mang Ke,
Tera Bigda Mukkadar Savar Jayega,
Tera Daman Bhi Khushiyon Se Bhar Jayega ॥
Din Dayalu Kahe Isko Jamana,
Kaam Hai Iska Kismat Jagana,
Bhole Ke Dar Pe Jisne Arji Lagai Hai,
Hatho Hi Hath Hui Uski Sunai Hai,
Dekh Le Mang Ke Mang Ke,
Tera Bigda Mukkadar Savar Jayega,
Tera Daman Bhi Khushiyon Se Bhar Jayega ।
॥ Dani Bada Ye Bholenath… ॥
Devo Ka Dev Teeno Loko Ka Swami,
Dekhi Datari Hui Duniya Deewani,
Raja Banaye Pal Bhar Mein Bhikhari Ko,
Karte Nihal Bhole Apne Pujari Ko,
Dekh Le Mang Ke Mang Ke,
Tera Bigda Mukkadar Savar Jayega,
Tera Daman Bhi Khushiyon Se Bhar Jayega ।
॥ Dani Bada Ye Bholenath… ॥
Bhola Bhala Hai Dil Iska Bada Hai,
Dekhe Kabhi Na Kaun Lene Khada Hai,
Ravan Ko Sone Ki Lanka De Dali,
Sonu Lautaya Nahin Kisi Ko Bhi Khali,
Dekh Le Mang Ke Mang Ke,
Tera Bigda Mukkadar Savar Jayega,
Tera Daman Bhi Khushiyon Se Bhar Jayega ।
Dani Bada Ye Bholenath,
Poori Kare Man Ki Murad,
Dekh Le Mang Ke Mang Ke,
Tera Bigda Mukkadar Savar Jayega,
Tera Daman Bhi Khushiyon Se Bhar Jayega ॥