Daal Rahi Varmala Ab To Janaki (डाल रही वरमाला अब तो जानकी: भजन)


Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Dhanush Toda Shiv Ji Ka,
Shree Ram Ji Ne,
Janak Nandini Maan Mein Harash Gae Hai ,
Vidhata Meri Purn Ki Kamanaen,
Khusi Ki Suhani Ghadi Aa Gae Hai ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi,
Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Ab Janak Ki Purn Abhilasha Hui Sari,
Mit Gaya Santap Jabase Dil Mein Tha Bhari,
Dal Varamala Siya Ne Ram Pae Hai,
Aaj Sakhiyon Ne Bhi Mangal Geet Gae Hai,
Mahima Aprampar Inke Naam Ki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Ved Mantro Ki Dhvani Ab Gunjane Lagi,
Is Khushi Mein Veviyan Sab Jhumane Lagi,
Aaj Shubh Din Ham Sabhi Ke Jeevan Mein Aaya,
Siyaram Ke Naam Se Har Dil Hai Muskaya,
‘Hema’ Ramayan Hai Svabhiman Ki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki,
Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi,
Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki,
Daal Rahi Varmala Ab To Janaki,
Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥
डाल रही वरमाला अब तो जानकी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
डाल रही वरमाला अब तो जानकी, जय बोलो जय बोलो सीताराम की, फूलों की बारिश यहाँ पे हो रही, कृपा हो गई आज श्री भगवान की, डाल रहीं वरमाला अब तो जानकी, जय बोलो जय बोलो सीताराम की।।
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Lakshmi Bhajan

.Most sent Bhajans, Mantras, Aarti and songs in Diwali Puja, Dhanteras Puja and Shri Kuber Puja.

Mere Ghar Aao Laxmi Maa

Ghar Mein Aao Lakshmi Mata, Aao Padharo Shri Ganraja ॥ Deewali Ka Tyohaar Aaya..

Ramayan Ke Saat Kand Main Koi Nahi Hai Aisa Sunderkand Ke Jaisa

Ramayan Ke Saat Kand Mein, Koi Nahi Hai Aisa

Choti Si Meri Parvati Shankar Ki Puja Karti Thi

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se, Nit Dhyan Prabhu Ka Dharti Thi..

Gajanan Kardo Beda Paar

Gajanan Kardo Beda Paar, Aaj Ham Tumhe Manate Hain, Tumhen Manate Hain, Gajanan Tumhe Manate Hain