Bola Prabhu Se Yun Kevat Yah Vinati Hai Sarkar (बोला प्रभु से यूँ केवट, यह विनती है सरकार: भजन)


Bola Prabhu Se Yun Kevat,
Yah Vinti Hai Sarkar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥
Bina Charan Dhoye Main Ramji,
Naav Mein Nahi Bithaunga,
Ban Jaye Jo Naav Yah Naari,
Bina Maut Mar Jaoonga,
Mera Naav Se Ghar Chalta Hai,
Kya Khayega Parivar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Ram Bhagat Hoon Ram Aan,
Dashrath Ji Ke Jaise Karta,
Marna Jeena Dukh-sukh Jo Bhi,
Inse Main Nahin Darta,
Utrai Bhi Na Loonga,
Maanunga Main Aabhaar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Haar Gaye Bhagwan Bhagat Se,
Apna Charan Dhulate Hain,
Dhanya Hai Kevat Pushp Devta,
Ambar Se Barsaate Hain,
Parivar Sahit Kevat Ne,
Kiya Pitron Ka Uddhar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Ek Bhagat Parivar Mein Ho to,
Sara Kul Tar Jaata Hai,
Prabhu Se Vimukh Adham Jeevan,
Dharti Ka Bhaar Badhaata Hai,
Shambhoo Jis Din Aaoge,
Kya Dekhega Yah Sansar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Bola Prabhu Se Yun Kevat,
Yah Vinti Hai Sarkar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥
बोला प्रभु से यूँ केवट, यह विनती है सरकार: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बोला प्रभु से यूँ केवट, यह विनती है सरकार, चरण धुलाओ राम जी, जाना हो जो पार ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanBhagwan Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Sita Ram Sita Ram Sita Ram Kahiye

Sita Raam Sita Raam, Sitaraam Kahiye, Jaahi Vidhi Raakhe Raam, Taahi Vidhi Rahiye ।

Jab Te Ram Bhayai Ghar Aaye

Jab Ten Ramu Byahi Ghar Aaye । Nit Nav Mangal Mod Badhaye ॥ To drive away poverty from home and to bring happiness, prosperity, peace, listen to these chaupaiyan of mangalacharan of Ayodhya Kand everyday..

Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun

Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon, Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ।

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye, Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye, Main Apne Duhkh Ko, Main Apne Duhkh Ko Hoon Bisraye, Vo Khushiyan Apne Sath Hai Laye, Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Shree Ganpati Maharaj Mangal Barsao

Shree Ganpati Maharaj, Mangal Barsao, Shiv Ji Ke Pyare, Maiya Gaura Ke Dulare, Devon Ke Sartaj, Mangal Barsao, Shree Ganpati Maharaj, Mangal Barsao ॥