Bigdi Banane Wali,
Kasht Mitane Wali,
Duniya Mein Jagdambe Maa,
Apna Banane Wali,
Bhgya Jagane Wali,
Bas Ek Jagdambe Maa,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥
Dur Kyun Rehta Hai,
Maa Ki Sharan Aaja,
Maa Ke Pe Hai Darwar,
Ranka Ho Ya Raja,
Bada Ho Ya Chota,
Khara Ho Ya Khota,
Maiya Ke Dar Se Wo,
Nahi Khali Louta,
Jo Bhi Shradha Se,
Aaj Jagrata Hai,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥
Mughal Sena Le Kar,
Raja Akbar Aaya,
Maa Ki Pawan Jyoti,
Wo Bujha Na Paya,
Maan Luta Akbar Ka,
Sawali Ban Gaya Dar ka,
Chumkar Chokhat Sewak,
Bana Meri Maa Ka Ghar Ka,
Chatra Sone Ka,
Akbar Chadhata Hai,
Aaj Jagrata Hai,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥
Ai ‘Anjum’ Duniya Mein,
Maa Ki Kya Shan Hai,
Ho Nirdhan Ya Balwan,
Mile Sabko Maan Hai,
Jisne Bhi Maa Ko Manaya,
Muhn Manga Usne Paya,
Mano Kismat Ka Taala,
Maa Ke Dar Pe Khulwaya,
Tabhi To Ye ‘Lakkha’,
Maa Ke Gun Gata Hai,
Aaj Jagrata Hai,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥
Bigdi Banane Wali,
Kasht Mitane Wali,
Duniya Mein Jagdambe Maa,
Apna Banane Wali,
Bhgya Jagane Wali,
Bas Ek Jagdambe Maa,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥