Bhole Baba Se Jinka Sambandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai ॥
Dor Jeevan Ki Saump Shiv Ke Naam Ko,
Baba Kar Dega Tere Har Kaam Ko,
Dekho Kan Kan Mein Chhaayi Sugandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai,
Bholen Baba Se Jinka Sambandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai ॥
‘Shyamsundar’ Kahe Shiv Se Jodo Lagan,
Kaato Zindagi Ye Baba Mein Hoke Magan,
Jinko Aaya Ye Bhola Pasand Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai,
Bholen Baba Se Jinka Sambandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai ॥
Shiv Aaraadhna Har Pal Karte Raho,
Om Shiv Shiv Ki Mala Ko Japte Raho,
Khole Bhagya Ka Taala Jo Band Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai,
Bholen Baba Se Jinka Sambandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai ॥
Shiv Parvati Ki Jo Pooja Kare,
Us Ghar Mein Rahe Bhandar Bhare,
Jiske Man Mein Ye Mandir Buland Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai,
Bholen Baba Se Jinka Sambandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai ॥
Bhole Baba Se Jinka Sambandh Hai,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Hai ॥
शिव चालीसा |
लिङ्गाष्टकम् |
शिव आरती |
शिव भजन |
शिव पंचाक्षर स्तोत्र |
द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र