Bhala Kisi Ka Kar Na Sako Too (भला किसी का कर ना सको तो - भजन)


Bhala Kisi Ka Kar Na Sako to,
Bura Kisi Ka Mat Karna,
Pushp Nahin Ban Sakte to Tum,
Kante Ban Kar Mat Rahana ॥
Ban Na Sako Bhagwan Agar Tum,
Kam Se Kam Insan Bano,
Nahin Kabhi Shaitan Bano Tum,
Nahin Kabhi Haivan Bano,
Sadachar Apna Na Sako to,
Papon Mein Pag Mat Dharna,
Pushp Nahin Ban Sakte to Tum,
Kante Ban Kar Mat Rahana ॥

Satya Vachan Na Bol Sako to,
Jhooth Kabhi Bhi Mat Bolo,
Maun Raho to Hi Achchha,
Kam Se Kam Vish to Mat Gholo,
Bolo Yadi Pahale Tum Tolo,
Phir Munh Ko Khola Karna,
Pushp Nahin Ban Sakte to Tum,
Kante Ban Kar Mat Rahana ॥

Ghar Na Kisi Ka Basa Sako to,
Jhopdiyan Na Jala Dena,
Marham Patti Kar Na Sako to,
Khar Namak Na Laga Dena,
Deepak Ban Kar Jal Na Sako to,
Andhiyara Na Phaila Dena,
Pushp Nahin Ban Sakte to Tum,
Kante Ban Kar Mat Rahana ॥

Amrit Pila Na Sake Kisi Ko,
Zahar Pilate Bhi Darna,
Dheeraj Bandha Nahin Sako to,
Ghav Kisi Ke Mat Karna,
Ram Naam Ki Mala Le Kar,
Subah Shyam Bhajan Karna,
Pushp Nahin Ban Sakte to Tum,
Kante Ban Kar Mat Rahana ॥

Bhala Kisi Ka Kar Na Sako to,
Bura Kisi Ka Mat Karna,
Pushp Nahin Ban Sakte to Tum,
Kante Ban Kar Mat Rahana ॥
भला किसी का कर ना सको तो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
रचा है सृष्टि को जिस प्रभु ने, वही ये सृष्टि चला रहे है, जो पेड़ हमने लगाया पहले...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Dularva Laika Jas Geet

Mahu La to Thokalin Tai Dulaar Vo.. Dai, Mahoo Tor Dularava Laika Taav ll Bhakti Bhajan La Tor Gaav Vo Ho....Dai ll

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Man Tera Mandir Ankhen Diya Bati

Man Tera Mandir Aankhe Diya Bati, Hontho Ki Hain Thaliyan Bol Phool Pati, Rom Rom Jiwha Tera Naam Pukarti...

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr