Bhakton Ke Ghar Kabhi Aaja Sherawali (भक्तों के घर कभी, आजा शेरावाली: भजन)


Bhakton Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali,
Kutiya Ka Maan,
Badha Ja Sherawali,
Bhakto Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali ॥
Palkon Ke Aasan Pe,
Tujhko Bithayenge,
Halva Poodi Ka Maiya,
Bhog Lagayenge,
Bhav Ka Ye Bhog,
Laga Ja Sherawali,
Bhakto Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali ॥

In Akhiyon Ko Bas,
Maiya Teri Aas Hai,
Aayegi Jaroor Mata,
Rani Vishwas Hai,
Bhakto Ki Aas,
Poora Ja Sherawali,
Bhakto Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali ॥

Aaja Aaja Maiya,
Tera Laad Ladayenge,
‘Saurabh Madhukar’ Sang,
Bhajan Sunayenge,
Rishta Ye Prem Ka,
Nibha Ja Sherawali,
Bhakto Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali ॥

Bhakton Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali,
Kutiya Ka Maan,
Badha Ja Sherawali,
Bhakto Ke Ghar Kabhi,
Aaja Sherawali ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
भक्तों के घर कभी, आजा शेरावाली: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भक्तों के घर कभी, आजा शेरावाली, कुटिया का मान, बढ़ा जा शेरावाली, भक्तो के घर कभी, आजा शेरावाली ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko

Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye Taruvar Ki Chhaya...

Bharosa Kar Tu Ishwar Par

Bharosa Kar Tu Ishwar Par, Tujhe Rona Nahi Hoga । Yah Jeevan Beet Jayega, Tujhe Rona Nahi Hoga ॥ Kabhi Sukh Hai Kabhi Dukh Hai...

Bhajan: Jyot Se Jyot Jagate Chalo

Jyot Se Jyot Jagate Chalo, Jyot Se Jyot Jagate Chalo, Prem Ki Ganga Bahate Chalo, Prem Ki Ganga Baha...

Tu Pyar Ka Sagar Hai

Tu Pyar Ka Sagar Hai, Teri Ek Bund Ke Pyase Ham। Lauta Jo Diya Tune..

Tora Man Darpan Kahlaye

Tora Man Darpan Kahlaye, Bhale, Bure, Saare Karmon Ko, Dekhe Aur Dikhaye...