Bata Mere Yaar Sudama Re (बता मेरे यार सुदामा रै - भजन)


Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।
Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।
Balak Thare Jab Aaya Karta,
Roj Khelke Jaaya Karta ।
Hui Kai Takraar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Manne Suna De Kutumb Kahani,
Kyon Kar Pad Gayi Thokar Khani ।
Re Manne Suna De Kutumb Kahani,
Kyon Kar Pad Gayi Thokar Khani ।
Tote Ki Maar Sudama Rai,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Sab Bachchon Ka Haal Suna De,
Mishrani Ki Baat Bata De ।
Re Sab Bachcho Ka Haal Suna De,
Mishrani Ki Baat Bata De ।
Re Kyon Gaya Haar Sudama Rai,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Chahie Tha Re Tanne Pahal Mein Aana,
Itna Duhkh Nahin Padta Thana ।
Re Chahiye Tha Re Tanne Pahal Mein Aana,
Itna Duhkh Nahin Padta Thana ।
Kyon Bhulla Pyar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Ib Bhi Aagaya Theek Waqt Pe,
Aaj Baith Ja Mere Takhat Pai ।
Re Ib Bhi Aagaya Theek Waqt Pe,
Aaj Baith Ja Mere Takhat Pai ।
Jigri Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।

Aaja Bhagat Chhaati Pe Lalyun,
Ib Bata Tanne Kanne Bitha Loon ।
Re Aaja Bhagat Chhati Pe Lalyun,
Ib Bata Tanne Kanne Bitha Loon ।
Karun Sahukar Sudama Rai,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।
Bhaktibharat Lyrics

Bata Mere Yaar Sudama Re,
Bhai Ghane Dina Mein Aaya ।
बता मेरे यार सुदामा रै - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बता मेरे यार सुदामा रै, भाई घणे दिना में आया, बालक थारे जब आया करता, रोज खेलके जाया करता- विधि देशवाल
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanFagan Mela BhajanShri Shayam BhajanSudama BhajanFriendship Day BhajanHaryanavi BhajanVidhi Deshwal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shree Ram Pyare Anjani Dulare

Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Bhagwa Rang Chadne Laga Hai

Mandir Ab Banane Laga Hai, Bhagava Rang Chadhane Laga Hai, Mandir Jab Ban Jayega, Soch Najara Kya Hoga...

Ram Naam Ke Deewane Puje Jinko Duniya Mane

Ram Naam Ke Deewane, Puje Jinko Duniya Maane, Sabake Sankat Mochan Pyare Hanuman Hai,
Ye Hai Anjani Ke Pyare, Baba Laal Langote Wale, Teri Mahima To Sabase Mahan Hai ॥

Aisa Tera Bal Hai Bajrang Koi Jaan Na Paya Hai

Asa Tera Bal Hai Bajarang, Koi Jaan Na Paya Hai, Ho Chahe Koi Kaam Asambhab,
Tune Pal Main Banaya Hai, Ho Chahe Koi Kaam Asambhab, Tune Pal Main Banaya Hai ॥

Bina Lakshman Ke Hai Jag Soona Soona

Bina Lakshman Ke Hai Jag Soona Soona, Mujhe Aur Jine Ki Chaahat Nahin Hai, Ai Viro Mujhe Chhod Ke Laut Jao, Ai Viro Mujhe Chhod Ke Laut Jao, Ki Lanka Vijay Ki Jarurat Nahin Hai, Bina Lakshman Ke Hai Jag Soona Soona ॥