Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun,
Tere Aanchal Ki Chhaiya,
Maa Aake Simat Jaun,
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun ॥
Teri God Maa Aisi Hai,
Hai Swarg Ke Sukh Phike,
Jisko Tune God Liya,
Wo Diye Jalaye Ghee Ke,
Teri Mamta Pane Ko,
Tera Dhyan Main Lagaun,
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun ॥
Dhan Hin Main Nirdhan,
Sadhan Hai Paas Nahi,
Kuch Kirpa Karo Aasi,
Tute Biwas Nahi,
Bas Bav Ke Phoolon Se,
Tumko Main Rijhaun,
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun ॥
Maa Hi To Hai Ek Asi,
Mere Duhkh Mein Jo Roti,
Bete Ki Musibat Ko,
Sine Par Dhoti Hai,
Ahsaan Tere Laakhon,
Kese Tujhko Chukaun,
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun ॥
Chahat Nhi Maa Koi,
Duniya Roshan Kar De,
Is Niras Jivan Main,
Ras Mamta Ka Bhar Do,
‘Bedhadak’ Teri Mahima,
Din Raat Main Maa Gaun,
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun ॥
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun,
Tere Aanchal Ki Chhaiya,
Maa Aake Simat Jaun,
Bankar Ke Dhool Ke Kan,
Charno Se Lipat Jaun ॥
बनकर के धूल के कण, चरणों से लिपट जाऊं, तेरे आँचल की छैया, मैं आके सिमट जाऊं, बनकर के धुल के कण, चरणों से लिपट जाऊं ॥ Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!