Bajrang Ke Aate 2 Kahin Bhor Ho Na Jaye Re (बजरंग के आते आते कही भोर हो न जाये रे: भजन)


Shri Hanuman Janmotsav, Mangalvar Vrat, Shanivar Pooja, Budhe Mangalavar, Sundarkand, Ramcharitmanas Katha Aur Akhand Ramayan Ke Path Mein Pramukhta Se Gaye Jane Wala Bhajan ।
Bajrang Ke Aate Aate Kahi Bhor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ।

Kya Bhor Hote Hote Bajrang Aa Sakenge,
Lakshman Ko Naya Jeevan Phir Se Dila Sakenge ।
Kahi Saas Ki Ye Dori Kamajor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Kaise Kahunga Ja Ke Mara Gaya Hai Lakshman,
Taj Degi Pran Sun Ke Mata Sumitra Fauran ।
Kaheen Yah Kalank Mujhse Ik Aur Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Lakshman Bina Hai Tuta Yah Danya Hath Mera,
Kuchh Soojhta Nahin Hai Charo Taraph Andhera ।
Lanka Mein Kahin Ghar Ghar Ye Shor Ho Na Jaye Re
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Warna Atal Hai ‘sharma’ Meri Baat Na Talegi,
Lakshman Ke Sath Meri ‘lakhkha’ Chita Jalegi ।
Main Sochta to Kuch Hoon, Kuch Aur Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Bajrang Ke Aate Aate Kahi Bhor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ।

Singer: Swarlakhabir Singh Lakkha
बजरंग के आते आते कही भोर हो न जाये रे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बजरंग के आते आते कही भोर हो न जाये रे, ये राम सोचते हैं, श्री राम सोचते हैं।
Bhajan Hanuman BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanLakha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain

Duniya Rachne Wale Ko Bhagwan Kehte Hain, Aur Sankat Harne Wale Ko Hanuman Kehte Hain ।

Ram Naam Ka Pyala Pyare Pi Le Subaho Sham

Ram Naam Ka Pyaala Pyare, Pi Le Subaho Shaam, Ram Ram Ram, Sitaram Ram Ram,
Ram Ram Ram, Sitaram Ram Ram ॥

Prabhu Maine Tumhe Paar Kiya Tum Mohe Paar Karo

Prabhu Maine Tumhai Paar Kiya, Tum Mohe Paar Karo, Apne Charanon Ke Dhul Se,
Apne Charanon Ke Dhul Se, Mera Uddhar Karo, Prabhu Maine Tumhai Paar Kiya, Tum Mohe Paar Karo ॥

Shree Ram Ji Ka Mandir Banayenge

Shree Ram Ji Ka Mandir Banaenge, Bhagava Dhvaj Laharayenge, Mandir Jab Ye Ban Jayega,
Kan Kan Sara Harshayega, Bachcha Bachcha Ye Gayega, Sari Duniya Mein Ram Ji Chhaenge,
Bhagava Dhvaj Laharayenge, Shree Ram Ji Ka Mandir Banayenge,
Bhagava Dhvaj Laharayenge ॥

Kahat Hanuman Jai Shri Ram

Kahat Hanuman Jai Shri Ram, Laga Ke Sindoor Badan Pe, Pane Ko Shri Ram Ka Pyar..