Badi Asha Lagaye Nihare Tumhe (बड़ी आशा लगाए निहारे तुम्हे: भजन)


Badi Asha Lagaye Nihare Tumhe,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge,
Nath Kabtak Rahenge Ruthe Bhala,
Dekhkar Prem Aansu Pighal Jayenge,
Badi Aasha Lagaye Niharen Tumhe,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ॥
Shabri Kevat Jatayu Ahilya Aadi Ke,
Paas Pahunche Swayan Vo Avadh Chhodkar,
Ye Hai Gaathayen Sach to Bharosa Humyen,
Ye Hai Gaathayen Sach to Bharosa Humyen,
Khud-ba-khud Nath Aakar Ke Mil Jayenge,
Nath Kabtak Rahenge Ruthe Bhala,
Dekhkar Prem Aansu Pighal Jayenge ॥

Darshan Dene Raghuvar Ji Aayenge Jab,
Hum Na Manenge Apni Chalaye Bina,
Jaane Na Denge Wapas Kisi Shart Par,
Jaane Na Denge Wapas Kisi Shart Par,
Pad Kamal Ko Pakadkar Machal Jayenge,
Nath Kabtak Rahenge Ruthe Bhala,
Dekhkar Prem Aansu Pighal Jayenge ॥

Phir Sunayenge Khoti Khari Aapko,
Aur Puchhenge Deri Lagai Kahan,
Phir Nivedan Karenge Na Chhodo Humyen,
Phir Nivedan Karenge Na Chhodo Humyen,
Prabhu Charnon Mein Hum Sab Lipat Jayenge,
Nath Kabtak Rahenge Ruthe Bhala,
Dekhkar Prem Aansu Pighal Jayenge ॥

Swapn Sakaar Hoga Tabhi Ram Ji,
Hum Pe Ho Jaye Thodi Kripa Aapki,
Poorn Kar Do Manorath Hum Sab Ke,
Poorn Kar Do Manorath Hum Sab Ke,
Jaane Kab Pran Tan Se Nikal Jayenge,
Badi Aasha Lagaye Niharen Tumhe,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ॥

Badi Asha Lagaye Nihare Tumhe,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge,
Nath Kabtak Rahenge Ruthe Bhala,
Dekhkar Prem Aansu Pighal Jayenge,
Badi Aasha Lagaye Niharen Tumhe,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ॥
बड़ी आशा लगाए निहारे तुम्हे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बड़ी आशा लगाए निहारे तुम्हे, क्षण विरह के मिलन में बदल जाएंगे, नाथ कबतक रहेंगे रूठे भला, देखकर प्रेम आंसू पिघल जाएंगे, बड़ी आशा लगाये निहारें तुम्हे, क्षण विरह के मिलन में बदल जाएंगे ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu