Bade Tumhare Hai Upkar Maiya (बड़े तुम्हारे है उपकार मैया: भजन)


Bade Tumhare Hai Upkar Maiya,
Tumne Jo Hoke Dayal,
Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥
Bade Tumhare Hai Upkar Maiya,
Karke Hamara Bhi Khayal,
Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥

Tu Hai Mangal Karni Wali,
Tu Hi Chinta Harne Wali,
Sare Jag Main Dhum Teri,
Tu Hai Jag Ki Janani Maa,
Ganga Jal Si Pawan Ho,
Bhakto Ki Maan BHavan Ho,
Sukh Nirale Jivan Main,
Tum Hi Daya Ka Sawan Ho,
Rni Tumhara Hai Sansar Maiya,
Tumne Jo Hoke Dayal,
Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥

Charan Tumhare Pade Jahan,
Khusiyan Barse Sada Waha,
Najar Daya Ki Padte Hi,
Har Muskil Ho Jaye Ashan,
Jadu Naam Tumhara Maa,
Tum Ho Amrut Dhara Maa,
Kankad Ko Jo Chuti Ho,
Bane Gagan Ka Tara Maa,
Tumko Namaskar Sau Baar Maiya,
Tumne Jo Hoke Dayal,
Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥

Bade Tumhare Hai Upkar Maiya,
Tumne Jo Hoke Dayal,
Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥

Bade Tumhare Hai Upkar Maiya,
Karke Hamara Bhi Khayal,
Hamare Dukh Dur Kiye Hai ॥
बड़े तुम्हारे है उपकार मैया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बड़े तुम्हारे है उपकार मैया, करके हमारा भी खयाल, हमारे दुःख दूर किए है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu