Baba Mehendipur Wale,
Anjani Sut Ram Dulare,
Karuna Ka Ye Hai Bhandar,
Kar Lo Bhakto Didar,
Laal Langote Wale,
Balajai Sote Wale,
Karte Hai Sabka Beda Paar,
Kar Lo Re Bhakto Didar ॥
Jag Main Balaji Jesa,
Balsali Veer Na dekha,
Dusthon Se Bhakton Ki Ye,
Karte Rakhya Ye Hamesa,
Inki Chokhat Pe Aake,
Badle Kismat Ki Rekha,
Bin Mange Hi De Dete,
Yash Kirti Rupaya Pesa,
Nirbal Ne Bal Bhar Dete,
Nirdhan Ke Dukh Har Lete,
Karte Hai Sabpe Upakar,
Kar Lo Bhakto Didar,
Kar Lo Re Bhakto Didar ॥
Raghubar Pe Jab Dukh Chaya,
Bajrangi Bane Sahae,
Sita Ki Sudh Le Aae,
Ravan Ki Lanka Jalai,
Sanjibani Buti Lakar,
Lakhsman Ki Jaan Bachae,
Asuro Ko Dhul Chatakar,
Shree Ram Ko Vijay Dilae,
Inke Hruday Main Jhanki,
Basti Hai Ram Siya Ki,
Ram Ke Hai Ye Sebadar,
Kar Lo Bhakto Didar,
Kar Lo Re Bhakto Didar ॥
Jinaki Naiya Ke Majhi,
Ban Jate Hai Balaji,
Koi Bhi Tufan Aandhi,
Usako Dubo Na Pati,
Sabako Hi Maan Ko Bhaati,
Inaki Sundar Kad Kathi,
Inake Pooja Bandhan Se,
Katate Bandhan Chaurasi,
Puri Hogi Sab Ichchha,
Hanumat Karate Hai Raksha,
‘Rajesh’ Hoga Beda Paar,
Kar Lo Bhakto Didar,
Kar Lo Re Bhakto Didar ॥
Baba Mehendipur Wale,
Anjani Sut Ram Dulare,
Karuna Ka Ye Hai Bhandar,
Kar Lo Bhakto Didar,
Laal Langote Wale,
Balajai Sote Wale,
Karte Hai Sabka Beda Paar,
Kar Lo Re Bhakto Didar ॥
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!