Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga (भजन: अमृत बेला गया आलसी सो रहा बन आभागा !)


Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha, Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
Jholiyan Bhar Rahey Bhagya Wale,
Laakh Patito Ne Jeevan Sambhale,
Rank Raja Bane, Prabhu Ras Mein Sane, Kasht Bhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Prabhu Kripa Se Nar Tan Yah Paaya,
Aalsi Bankar Yoon Hi Ganvaya
Ulti Ho Gai Mati,
Kar Li Apni Chhati, Chola Tyaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Swas Ek Ek Anmol Beeta,
Amrit Ke Badle Vish Ko Tu Peeta,
Sauda Ghaate Ka Kar,
Hath Mathe Pe Dhar, Rone Laga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Manav Kuchh Bhi Na Tune Bichara,
Shir Se Rishiyo Ka Rinn Na Utara,
Guru Ka Naam Na Liya,
Ganda Pani Peeya, Ban Ke Kaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha, Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
भजन: अमृत बेला गया आलसी सो रहा बन आभागा ! - हिन्दी में पढ़ें
बेला अमृत गया, आलसी सो रहा, बन आभागा, साथी सारे जगे, तू न जागा...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanGuru Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye

Maiya Ji Ke Charnon Me Thikana Chahie । Beta Jo Bulaye Man Ko Aana Chahiye ॥

Main To Jhoom Jhoom Nachu Re Aaj Maiya Ghar Aayi Hai

Main to Jhoom Jhoom Naachu Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Mata Ke Gun Gaoon Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Jhoom Jhoom Naachun Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai ॥

Aaj More Angna Padharo

Aao Maa Bhawani Aao, Aaj More Angna Padharo, Angna Padharo Mere, Angna Padharo, Aaj More Angna Padharo, Aaj Mere Angna Padharo ॥

Sabki Bharti Hai Maa Yahan Par Jholiya

Sabki Bharti Hai Maa, Yan Par Jholiyan, Sabki Bharti Hai Maa, Yan Par Jholiyan, Sabki Bharti Hai Maa,
Yan Par Jholiyan ॥