Ab Saump Diya Is Jeevan Ka Sab Bhar Tumhare Hathon Me (अब सौंप दिया इस जीवन का, सब भार - भजन)


Ab Saump Diya Is Jeevan Ka,
Sab Bhaar Tumhare Hathon Mein,
Hai Jeet Tumhare Hathon Mein,
Aur Haar Tumhare Hathon Mein ॥
Mera Nishchay Hai Bas Ek Yahi,
Ek Baar Tumhe Pa Jaun Main,
Arpan Karadun Duniya Bhar Ka,
Sab Pyar Tumhare Hathon Mein ॥

Jo Jag Mein Rahun to Aise Rahun,
Jaise Jal Mein Kamal Ka Phool Rahe,
Mere Sab Gun Dosh Samarpit Hon,
Kartar Tumhare Hathon Mein ॥

Yadi Manav Ka Mujhe Janm Mile,
To Tere Charanon Ka Pujari Banun,
Is Puja Ki Ek Ek Rag Ka,
Ho Taar Tumhare Hathon Mein ॥

Jab Jab Sansar Ka Kaidi Banu,
Nishkam Bhav Se Karam Karun,
Phir Ant Samay Mein Pran Tajun,
Nirakar Tumhare Hathon Mein ॥

Mujh Mein Tujh Mein Bas Bhed Yahi,
Main Nar Hun Tum Narayan Ho,
Main Hun Sansar Ke Hathon Mein,
Sansar Tumhare Hathon Mein ॥

Ab Saump Diya Is Jeevan Ka,
Sab Bhaar Tumhare Hathon Mein,
Hai Jeet Tumhare Hathon Mein,
Aur Haar Tumhare Hathon Mein ॥
अब सौंप दिया इस जीवन का, सब भार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
अब सौंप दिया इस जीवन का, सब भार तुम्हारे हाथों में, है जीत तुम्हारे हाथों में...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami Bhajan BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah Bhajan

Other Popular Ab Saump Diya Is Jeevan Ka Sab Bhar Tumhare Hathon Me Video

By Anup Jalota

By Pujya Prembhushanji Maharaj

By Baba Shri Chitra Vichitra Ji Maharaj

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Maa Rewa: Tharo Pani Nirmal

Ma Rewa Tharo Paani Nirmal, Khal Khal Behto Jaye Re..

Maa Sharde Kaha Tu Veena Baja Rahi Hain

Maa Sharde Kahan Tu, Veena Baja Rahi Hain, Kis Manju Gyan Se Tu

Bhajan Maa Sharade Vandana

Hai Sharade Maa, Hai Sharade Maa, Agyanta Se Hamen Taar De Maa ।

Saraswati Amritwani

Suramay Veena Dharini, Saraswati Kala Nidhaan, Paavan Aasheesh Se Karade, Jan Jan Ka Kalyaan ।..