Aaye Aaye Hai Bhole Ke Dwar
Shiv Shambhu Rakhiyo Hamari Laaj
Kawad Kandhe Pe Hai Apne Uthaye
Hum Badi Door Se Chalkar Ke Aaye
Shiv Shambhu Darshan Ko Tere Hain Aayen ॥
Kandhe Pe Kawariya Lach Lach Karti
Uspe Ye Ghunghru Chham Chham Bajti
Ho . . . . Ismen Jal Bhara Hai Narmda Wala
Isase Do Kalsho Mein Humne Hai Daala
Kawad Kaandhe Par Apne Uthayen
Hum Badi Door Se Chalkar Ke Aaye ॥
Bhang Dhatura Ka Bhog Lagave
Bhog Lagave Baba Hans Hans Khave
Prem Sahit Peeve Jahar Ka Pyala Hai
Bhola Bhala Baba Saare Jag Se Nirala Hai
Dhyaan Lagaye Shiv Yogi Kahaay
Hum Badi Door Se Chalkar Ke Aaye
Shiv Shambhu Darshan Ko Tere Hain Aaye ॥
Ang Bhabhooti Saaje Nandi Ki Sawaari
Kailaashi Vaasi Teri Leela Hai Nyaari
Yah Damru Dhaari Hai Pahane Mrig Chhala Hai
Jata Beech Ganga Naag Gale Mein Daala Hai
Mastak Par Tere Hai Chandrama Saaje
Uma Ke Sang Mein Kailash Viraaje
Shiv Shambhu Darshan Ko Tere Hain Aaye ॥
Aaye Aaye Hain Bhole Ke Dwar
Shiv Shambhu Rakhiyo Hamaari Laaj
Kawad Kaandhe Par Hai Apane Uthaye
Hum Badi Door Se Chalkar Ke Aaye
Shiv Shambhu Darshan Ko Tere Hain Aaye ॥