Aaj Somvar Hai Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Kaise Maiya Parvati Ne,
Shiv Shankar Ko Paya Hai,
Shiv Shankar Ko Paya Hai,
Din Aur Raat Kari Hai Pooja,
Tab Bhola Man Paya Hai,
Tab Bhola Man Paya Hai,
Khushi Hua Sansar Hai,
Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Ek Bhakt Aisa Tha Tera,
Mandir Roj Hi Jata Tha,
Mandir Roj Hi Jata Tha,
Rakh Pindi Pe Pair Vo Tera,
Ghanta Roj Churata Tha,
Ghanta Roj Churata Tha,
Khush Usase Hua Apaar Hai,
Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Ik Din Diye Jo Darshan,
Vo Man Mein Ghabraya Tha,
Vo Man Mein Ghabraya Tha,
Charan Pada Tere Vo Bhole,
Utha Ke Gale Lagaya Tha,
Utha Ke Gale Lagaya Tha,
Kah Diya Ja Beda Paar Hai,
Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Bel Patr Phal Phul Chadhakar,
Khush Hoti Nar Nari Hai,
Khush Hoti Nar Nari Hai,
Doodh Chadhate Bhakt Jo Tum Par,
Khush Hote Bhandari Hai,
Khush Hote Bhandari Hai,
Karte Sabko Pyaar Hai,
Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Bhasmasur Ko Var Dekar,
Shiv Apne Man Tu Ghabraya,
Apne Man Tu Ghabraya,
Karne Bhasm Usi Ko Tune,
Nari Roop Tha Apnaya,
Nari Roop Tha Apnaya,
Dusht Ka Kiya Sanhar Hai,
Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Aisa Bhola Roop Prabhu Ka,
Jism Bhabhoot Lagaya Hai,
Jism Bhabhoot Lagaya Hai,
Mera Bhola Baitha Parvat,
Magan Dhyan Mein Kaya Hai,
Magan Dhyan Mein Kaya Hai,
Par Nazron Mein Sansar Hai,
Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
Aaj Somvar Hai Ye Shiv Ka Darbar Hai,
Bhara Hua Bhandar Hai,
Bhole Ban Bhole Ko Manalo,
Karenge Beda Paar Hai,
Aaj Somvar Hai ॥
शिव चालीसा |
लिङ्गाष्टकम् |
शिव आरती |
शिव भजन |
शिव पंचाक्षर स्तोत्र |
द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र