Shri Hanuman Janmotsav, Mangalvaar Vrat, Shanivaar Pooja, Budhe Mangalvaar, Sundarkand, Ramcharitamanas Katha Aur Akhand Ramayan Ke Path Mein Pramukhta Se Gaye Jane Vala Bhajan ।
Aa Laut Ke Aja Hanuman,
Tumhe Shri Ram Bulate Hain ।
Janaki Ke Base Tumame Pran,
Tumhe Shri Ram Bulate Hain ॥
Lanka Jala Ke,
Sab Ko Hara Ke,
Tumhi Khabar Siya Ki Laye ।
Parvat Utha Ke, Sanjivan La Ke,
Tumne Lakhan Ji Bachae ।
Hai Bajrangi Balwan,
Tumhe Ham Yaad Dilate Hain ॥
॥ Aa Laut Ke Aaja Hanuman… ॥
Pahale Tha Ravan Ek Hi Dhara Pe,
Jisko Prabhu Ne Sanghara ।
Tumne Savare the Kaaj Sare,
Prabhu Ko Diya Tha Sahara ।
Jag Mein He Veer Sujan,
Bhi Tere Gun Gate Hain ॥
॥ Aa Laut Ke Aaja Hanuman… ॥
Hai Dharam Sankat Mein Dharm Phir Se,
Ab Khel Kalayug Ne Khele ।
Hain Lakhon Ravan Ab to Yahan Pe,
Kab Tak Lade Prabhu Akele ।
Jara Dekh Laga Ke Dhyan,
Tumhe Shri Ram Bulate Hain ॥
॥ Aa Laut Ke Aaja Hanuman… ॥
Hai Ram Ji Bin Tere Adhure,
Anjani Maa Ke Pyare ।
Bhakto Ke Sapne Karne Ko Poore,
Aaja Pavan Ke Dulare ।
Karne Jag Ka Kalyan,
Tumhe Shri Ram Bulate Hain ॥
॥ Aa Laut Ke Aaja Hanuman… ॥
Aa Laut Ke Aaja Hanuman,
Tumhe Shri Ram Bulate Hain ।
Janaki Ke Base Tumame Pran,
Tumhe Shri Ram Bulate Hain ॥