Aa Jao Gajanan Pyare (आ जाओ गजानन प्यारे - भजन)


O Baba Tere Bhakt Bulaye,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Ab Der Karo Na Aa Jao Dware,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare ॥
Sab Devan Mein Dev Kahao,
Maa Gaura Ke Laal Kahao,
Shiv Shankar Sang Riddhi Siddhi,
Le Aao Dyar Humare,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare ॥

Bhanti Bhanti Ke Phool Mangaye,
Ghar Aangan Aur Dwar Sajaye,
Dhup Deep Se Mahake Mandap,
Modak Bhog Saja Re,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare ॥

Ghar Aa Kar Ke Fir Nahi Jaana,
Hum Sabke Maan Mein Bas Jaana,
Chaah ‘Mukesh’ Ki Ek Hi Baba,
Sabha Mein Raang Barsa Re,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare ॥

O Baba Tere Bhakt Bulaye,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Ab Der Karo Na Aa Jao Dware,
Aa Jao Gajanan Pyare,
Aa Jao Gajanan Pyare ॥
आ जाओ गजानन प्यारे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ बाबा तेरे भक्त बुलाये, आ जाओ गजानन प्यारे, आ जाओ गजानन प्यारें, अब देर करो ना आ जाओ द्वारे, आ जाओ गजानन प्यारें, आ जाओ गजानन प्यारें ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Inke Maan Mein Hai Ram Base Inko To Kisi Ki Khabar Nahi

Inke Maan Main Hai Ram Base, Inko To Kisiki Khabar Nahi ॥

Ram Ka Har Pal Dhyan Lagaye Ram Naam Matwala

Ram Ka Har Pal Dhyan Lagaye, Ram Naam Matwala, Chir Ke Sina Daras Karaye, Maa Anjani Ka Laala,
Bala Ram Ka Deewana, Siyaram Ka Deewana, Ram Ka Deewana, Siyaram Ka Deewana ॥

Balaji Ke Bhakto Sun Lo Baba Ka Gun Gaya Karo

Balaji Ke Bhakton Sunlo, Baba Ka Gun Gaya Karo, Shradha Aur viswas Prem Se, Unki Jyoti Jagaya Karo ॥

Jag Ke Swami Ko Shree Ram Kehte Hain

Jag Ke Swami Ko Shree Ram Kahate Hai, Sankat Jo kate Unhai Hanuman Kahate Hai ॥