Jai Shani Deva, Jai Shani Deva,
Jai Jai Jai Shani Deva ।
Akhil Srishti Mein Koti-koti Jan,
Karen Tumhari Seva ।
Jai Shani Deva, Jai Shani Deva,
Jai Jai Jai Shani Deva ॥
Ja Par Kupit Hou Tum Swami,
Ghor Kasht Vah Pave ।
Dhan Vaibhav Aur Maan-kirti,
Sab Palbhar Mein Mit Jave ।
Raja Nal Ko Lagi Shani Dasha,
Rajpat Har Leva ।
Jai Shani Deva, Jai Shani Deva,
Jai Jai Jai Shani Deva ॥
Ja Par Prasann Hou Tum Swami,
Sakal Siddhi Vah Pave ।
Tumhari Kripa Rahe to,
Usko Jag Mein Kaun Satave ।
Tanba, Tel Aur Til Se Jo,
Karen Bhaktajan Seva ।
Jai Shani Deva, Jai Shani Deva,
Jai Jai Jai Shani Deva ॥
Har Shanivar Tumhari,
Jai-jai Kar Jagat Mein Hove ।
Kaliyug Mein Shanidev Mahattam,
Du:Kh Daridrata Dhove ।
Karu Arti Bhakti Bhav Se,
Bhent Chadhaun Meva ।
Jai Shani Deva, Jai Shani Deva,
Jai Jai Jai Shani Deva ॥
॥ Shri Shani Dev Arati-2 ॥
Char Bhuja Tahi Chhajay,
Gadda Hast Pyari ।
Jai Shanidev Ji ॥
Ravi Nandan Gaj Vandan,
Yam Agraj Deva ।
Kasht Na so Nar Pate,
Karte Tab Seva ॥
Jai Shanidev Ji ॥
Tej Apar Tumhara,
Swami Saha Nahin Jave ।
Tum Se Vimukh Jagat Mein,
Sukh Nahin Pave ॥
Jai Shanidev Ji ॥
Namo Namah Ravinandan,
Sab Grah Sirtaja ।
Banshidhar Yash Gave,
Rakhiyo Prabhu Laja ॥
Jai Shanidev Ji ॥